Pyar Kya hai?
Chandni mein ghola jay phollon ka shabab
Usme phir milayee jaye thodi si sharab
Hoga yun nasha jo tyar ..... Woh Pyar hai, Woh Pyar hai.
Aadhi raat juhu per utar, kar raha ho jab chand mukam
Aur wahin tahel rahein ho phool, titliyoon ki gori bahein thaam
aise waqt aata hai jo jwar - Woh Pyar hai, Woh Pyar hai.
Leke haath dard ki kalam, aansoein mein khawab ghol ghol,
Likh rahi ho pati pi ke naam, job koi kali laton ko khol,
tab jo chedta hai dil ke taar - Woh Pyar hai, Woh Pyar hai.
Aaine ko samne bitha, aabrron ki karke tej dhar
apne se hi karke aankhein chaar, apne hi husn pe ho khud nissar,
muskurata hai jo baar - baar - Woh Pyar hai, Woh Pyar hai.
Ladkhadatein ho umar ke paanv, jab na koi de safar mein saath
Bujh gayein ho raah ke chirag sur sab taraf ho kali raat,
Tab jo chunta hai dagar ke khar - Woh Pyar hai, Woh Pyar hai
jab ho chup jameen-o-assmangungunati ho na koi been
sar kisi mazar per tikaro rahi ho zindagi hassen
tab jo banke aata hai karrar Woh payar hai, Woh Payyar hai
- Neeraj.

0 Comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.
<< Home